Saturday, January 24, 2009

MAIRE ZINDAGE


SAWAL TU HY JAWAB TU HY

MOHABBTON KI KITAB TU HY

BE SABAAT JAHAN K RANG SAAREY

MERI NAZAR MYN SHABAAB TU HY

YE KAIENAAT HY JIS SE ROSHAN

AFTAAB TAAREY

MEHTAAB TU HY

KABHI TO HOTA HY PASS MEREY

KABHI CHAMAKTA SARAAB TU HY

PHOOL KALYON KA KHUSH RANG PERHAN

KHUSHBO"ON KA HIJAAB TU HY

TU MERI KHAWAHISH TU MERI HASRAT

HASEEN AANKHON KA KHAWAB TU HY

NISAB_E_ZINDAGI HY ISHQ SAIEMMERI

ZINDAGI KA NISAAB TU HY

MAIRA PYAR


Kyun baar baar woh satata hay

Kkuwaabon main aakar rulata hai

Bhulanaa us ko chahein hum

Par kis tarah bhulaayein hum

Woh mann main har dum rahta hay

Dharkan ki tarah dharkta hay

Hain issi Ehsaas se zindaa hum

ek-duje ke dil- o- jaan hain hum

Wednesday, January 14, 2009

Dosti Kiya Hay ??


Kya khabar tum ko dosti kya hai

Ye roshni bhi hai andhera bhi hai

Khwahishon se bhara jazeera bhi hai

Bohat anmol ek heera bhi hai

Dosti ek haseen khwab bhi hai

Pass se dekho to sarab bhi hai

Dukh milne pe yeh azaab bhi hai

Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai

Dosti yoon to maya jaal bhi hai

Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai

Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai

Kabhi zameen kabhi falak bhi hai

Dosti jhoot bhi hai such bhi hai

Dil main reh jai to kassak bhi hai

Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai

Dosti saaz bhi sangeet bhi hai

Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai

Wafa kya hai wafa bhi dosti hai

Dil se nikli Dua bhi dosti hai

Bas itna samajh lo tum

Pyaar ki inteha bhi dosti hai
Kya khabar tum ko dosti kya hai

Ye roshni bhi hai andhera bhi hai

Khwahishon se bhara jazeera bhi hai

Bohat anmol ek heera bhi hai

Dosti ek haseen khwab bhi hai

Pass se dekho to sarab bhi hai

Dukh milne pe yeh azaab bhi hai

Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai

Dosti yoon to maya jaal bhi hai

Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai

Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai

Kabhi zameen kabhi falak bhi hai

Dosti jhoot bhi hai such bhi hai

Dil main reh jai to kassak bhi hai

Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai

Dosti saaz bhi sangeet bhi hai

Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai

Wafa kya hai wafa bhi dosti hai

Dil se nikli Dua bhi dosti hai

Bas itna samajh lo tum

Pyaar ki inteha bhi dosti hai

Wo kajj ada


Wo kam sukhan
Wo kajj ada

Wo bewafa acha laga
Jab bhi mila rutha howa
Jab bhi mila acha laga

Wo zulm pay malaal bohat
Wo jabar ka qayel bohat

Uska sitam
Har ek sitm
Mujh ko sada acha laga

Tum muhabbat k qabil nahi
Tum pyar k layek nahi

Us ne kaha
Hum say kaha
Hum nay suna acha laga

WO CHAND


Who chand mera hamsafar tha
Doori Kay ujaar jungloon main
Abb meri nazar say chup chuka hai

Ek umer say main malol-o-tanha
Zulmaat ki reh-guzaar main hoon
Main agay barhoon keh laut jaon

Kiya soch Kay......Intezaar main hoon
Koi bhi nahin Jo yeh batay
eMain kaun hoon kis deyaar main hoon

HURF-E-DUA


Hai Dua Yaad Mager Hurf -e- Dua Yaad Nahi

Meray Nagmaat Ko Andaz -e- Nawa Yaad Nahi


Ham Nay Jin Kay Liyay Rahoon Main Bechaya Tha Lahoo

Ham Say Kahtay Hain Wahi Ahad -e- Wafa Yaad


Zindage Jbar -e- Musalsal Ke Tarah Kaati Hai

Janay Kis Jurm Ke Paee Hai Saza Yaad Nahi


Main Nay Palkoon Say Dar -e- Yaar Pay Dastak De Hai

Main Wo Sayel Hoon Jesay Koee Sada Yaad Nahi


Sirf Dhundlay Setaroon Ke Chamak Dekhi Hai

Kab Howa Koon Howa Mujh Say Khafa Yaad Nahi


Aao Ak Sajda Karay Aalam Madhoshi Main

Log Kahtay Hain Kah Hum Ko Khuda Yaad Nahi

Sunday, January 11, 2009

Na Shikayatein Na Gila Karey







na shikayatein na gila karey

koi aisa shaks hua karey


jo mere liye hi saja

mujh hi se baatein kiya karey


kabhi roye jaye wo bay panah

kabh bay tahasha udaas hu


kabhi chupkey chupkey dabay qadam

mere peeche aa k hansa karey


meri qurbatein meri chahtein

karey koi yaad qadam qadam


main taweel safar mai hoon agar

mere wapis aane ki dua karey


na shikayatein na gila karey

koi aisa shaks hua karey