Sunday, January 11, 2009

Na Shikayatein Na Gila Karey







na shikayatein na gila karey

koi aisa shaks hua karey


jo mere liye hi saja

mujh hi se baatein kiya karey


kabhi roye jaye wo bay panah

kabh bay tahasha udaas hu


kabhi chupkey chupkey dabay qadam

mere peeche aa k hansa karey


meri qurbatein meri chahtein

karey koi yaad qadam qadam


main taweel safar mai hoon agar

mere wapis aane ki dua karey


na shikayatein na gila karey

koi aisa shaks hua karey

1 comment: