Saturday, January 24, 2009

MAIRE ZINDAGE


SAWAL TU HY JAWAB TU HY

MOHABBTON KI KITAB TU HY

BE SABAAT JAHAN K RANG SAAREY

MERI NAZAR MYN SHABAAB TU HY

YE KAIENAAT HY JIS SE ROSHAN

AFTAAB TAAREY

MEHTAAB TU HY

KABHI TO HOTA HY PASS MEREY

KABHI CHAMAKTA SARAAB TU HY

PHOOL KALYON KA KHUSH RANG PERHAN

KHUSHBO"ON KA HIJAAB TU HY

TU MERI KHAWAHISH TU MERI HASRAT

HASEEN AANKHON KA KHAWAB TU HY

NISAB_E_ZINDAGI HY ISHQ SAIEMMERI

ZINDAGI KA NISAAB TU HY

MAIRA PYAR


Kyun baar baar woh satata hay

Kkuwaabon main aakar rulata hai

Bhulanaa us ko chahein hum

Par kis tarah bhulaayein hum

Woh mann main har dum rahta hay

Dharkan ki tarah dharkta hay

Hain issi Ehsaas se zindaa hum

ek-duje ke dil- o- jaan hain hum

Wednesday, January 14, 2009

Dosti Kiya Hay ??


Kya khabar tum ko dosti kya hai

Ye roshni bhi hai andhera bhi hai

Khwahishon se bhara jazeera bhi hai

Bohat anmol ek heera bhi hai

Dosti ek haseen khwab bhi hai

Pass se dekho to sarab bhi hai

Dukh milne pe yeh azaab bhi hai

Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai

Dosti yoon to maya jaal bhi hai

Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai

Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai

Kabhi zameen kabhi falak bhi hai

Dosti jhoot bhi hai such bhi hai

Dil main reh jai to kassak bhi hai

Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai

Dosti saaz bhi sangeet bhi hai

Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai

Wafa kya hai wafa bhi dosti hai

Dil se nikli Dua bhi dosti hai

Bas itna samajh lo tum

Pyaar ki inteha bhi dosti hai
Kya khabar tum ko dosti kya hai

Ye roshni bhi hai andhera bhi hai

Khwahishon se bhara jazeera bhi hai

Bohat anmol ek heera bhi hai

Dosti ek haseen khwab bhi hai

Pass se dekho to sarab bhi hai

Dukh milne pe yeh azaab bhi hai

Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai

Dosti yoon to maya jaal bhi hai

Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai

Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai

Kabhi zameen kabhi falak bhi hai

Dosti jhoot bhi hai such bhi hai

Dil main reh jai to kassak bhi hai

Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai

Dosti saaz bhi sangeet bhi hai

Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai

Wafa kya hai wafa bhi dosti hai

Dil se nikli Dua bhi dosti hai

Bas itna samajh lo tum

Pyaar ki inteha bhi dosti hai

Wo kajj ada


Wo kam sukhan
Wo kajj ada

Wo bewafa acha laga
Jab bhi mila rutha howa
Jab bhi mila acha laga

Wo zulm pay malaal bohat
Wo jabar ka qayel bohat

Uska sitam
Har ek sitm
Mujh ko sada acha laga

Tum muhabbat k qabil nahi
Tum pyar k layek nahi

Us ne kaha
Hum say kaha
Hum nay suna acha laga

WO CHAND


Who chand mera hamsafar tha
Doori Kay ujaar jungloon main
Abb meri nazar say chup chuka hai

Ek umer say main malol-o-tanha
Zulmaat ki reh-guzaar main hoon
Main agay barhoon keh laut jaon

Kiya soch Kay......Intezaar main hoon
Koi bhi nahin Jo yeh batay
eMain kaun hoon kis deyaar main hoon

HURF-E-DUA


Hai Dua Yaad Mager Hurf -e- Dua Yaad Nahi

Meray Nagmaat Ko Andaz -e- Nawa Yaad Nahi


Ham Nay Jin Kay Liyay Rahoon Main Bechaya Tha Lahoo

Ham Say Kahtay Hain Wahi Ahad -e- Wafa Yaad


Zindage Jbar -e- Musalsal Ke Tarah Kaati Hai

Janay Kis Jurm Ke Paee Hai Saza Yaad Nahi


Main Nay Palkoon Say Dar -e- Yaar Pay Dastak De Hai

Main Wo Sayel Hoon Jesay Koee Sada Yaad Nahi


Sirf Dhundlay Setaroon Ke Chamak Dekhi Hai

Kab Howa Koon Howa Mujh Say Khafa Yaad Nahi


Aao Ak Sajda Karay Aalam Madhoshi Main

Log Kahtay Hain Kah Hum Ko Khuda Yaad Nahi

Sunday, January 11, 2009

Na Shikayatein Na Gila Karey







na shikayatein na gila karey

koi aisa shaks hua karey


jo mere liye hi saja

mujh hi se baatein kiya karey


kabhi roye jaye wo bay panah

kabh bay tahasha udaas hu


kabhi chupkey chupkey dabay qadam

mere peeche aa k hansa karey


meri qurbatein meri chahtein

karey koi yaad qadam qadam


main taweel safar mai hoon agar

mere wapis aane ki dua karey


na shikayatein na gila karey

koi aisa shaks hua karey

Aankhain Bheegh Jate Hain

Sumander Main Utarta Hoon Tu Aankhain Bheegh Jate Hain
Teri Aankhoon Ko Parhta Hoon Tu Aanhain Bheegh Jate Hain

Tumhara Naam Likhnay Ke Ijazat Cheen Gaee Jab Say
Koee Bhi Lafz Likhta Hoon Tu Aankhain Bheegh Jage Hain

Main Hans Kay Jhail Layta Hoon Judaee Ke Sabhe Rasmain
Galay Jab Uskay Lagta Hoon Tu Aankhain Bheegh Jate Hain

Wo Sab Guzray Howay Lamhaat Mujh Ko Yaad Aatay Hain
Tumhara Khat Jo Parhta Hoon Tu Aankhain Bheegh Jate Hain

Na Janay Ho Gia Hoon Is Qdar Hassas Main Kab Say
Kese Say Baat Karta Hoon Tu Aankhain Bheegh Jate Hain

Teray Kochay Say Ab Mera Taluq Wajabi Sa Hai
Mager Jab Bhi Guzarta Hoon Tu Aankhain Bheegh Jate Hain

Teri Yadoon Ke Khushboo Khirkeyoon Main Raqs Karte Hain
Teray Ghum Main Sulagta Hoon Tu Aankhain Bheegh Jate Hain

MER I KAHANI


MERNY KE BAD MERI YE KAHANI LIKHNAa

KESY HUWI BARBAD MERI YE JAWANI LIKHNA

LIKHNA USAY INTEZAR BOHAT THA KISI KA

AAKHRI SAANS KI KAISE HUWI RAWANI LIKHNA

JO QASMEIN KHAI THEN OS NE PIYAR MEIN

UN QASMON KI KYA HUWI US PER MEHRBANI LIKHNA

YE BI LIKHNA KE US KE HONT KHUSHI KO TARAS GAY

KITNA BARSA UN ANKHON SE PANI LIKHNA

AUR YE BHI LIKHNA DUA DETA THA TUJHE WOH

BAAHIR KAFAN SE THAY HATH YE "NISHANI" LIKHNA

Monday, January 5, 2009

NAYA SAAL

Ab k saal kuch aisa karna
Apney pichley guzray saal k
Dukh sukh ka andaza karna
Bichrii yaadein taza karna
khuwaobon sa ik kagaz ley kar
Bhooley bichray pal likh lena

Phir iss beetey ik ik pal ka
Apney guzrey ik ik kal ka
Ik Ik mour ka ehata karna
Sarey dost akhata karna
Saree subhein hazir rakhna
Saree shamein paas bulana

Aur alawa in k dekhoo
sarey mausam dheyaan mein rakhna
Ik ik yaad gumaan mein rakhna
Phir mohtaat qiyaas lagana
Ger to khushiyaan barh jati hain
Tu phir tum ko meri taraf se yeh saal mubarak
Aur agar gham barh jaye to
To hum ko ik pal k liye zaroor yaad kerna

Dekho phir tum aisa karna
Meri khushiyaan tum ley lena
Mujh ko apney ghum dey dena
Ab k saal kuch! aisa karna